Habeeb-e-Khuda Ka Nazara Karoon Mein


Naat By Huzoor Mufti-E-Azam Hind Maulana Mustafa Raza Khan Al-Qaderi (Rahmatullahi Alaih)

Habeeb-E-Khuda Ka Nazara Karoon Mein
Dilo Jaan Unpar Nisaaraa Karoon Mein

Mujhe Apni Rehmat Se To Apna Karle
Siwa Tere Sab Se Kinaaraa Karoon Mein

Mein Kyoon Ghair Ki Thokare Khane Jawoon
Tere Dar Se Apna Guzaaraa Karon Mein

Khudara Ab Aawo Ke Dam He Labo Par
Dame Wapasi To Nazaara Karoon Mein

Tere Naam Par Sar Ko Qurbaan Kar Ke
Tere Sar Se Sadqaa Utaara Karoon Mein

Yeh Ek Jaan Kya Hai Agar Ho Karoro
Tere Naam Par Sab Ko Waaraa Karoon Mein

Tera Zikr Lab Par Khuda Dil Ke Andar
Yunahi Zindagani Guzaaraa Karoon Mein

Dame Wapasi Tak Tere Geet Gaoon
Muhammad Muhammad Phukaaraa Karoon Mein

Tere Dar Ke Hote Kahan Jawoon Pyare
Kahan Apna Daaman Pasaaraa Karoon Mein

Mera Deen-O-Imaan Firishte Jo Pooche
Tumhari Hi Jaanib Ishaaraa Karoon Mein

Khudaa Aisi Kuwat De Mere Qalam Mein
Ke Bad-Mazhabon Ko Sudhaaraa Karoon Mein

Khudaa Kher Se Laye Woh Din Bhi Noori
Madine Ki Galiyan Bohaaraa Karoon Mein