|
Sarwar Kahoon
Ke Maalik-O-Mawla Kahoon Tujhe
Sarwar Kahoon Ke
Maalik-O-Mawlaa Kahoon Tujhe
Baaghe Khaleel Kaa
Gul-e-Zaybaa Kahoon Tujhe
Hirmaan Naseeb Hoon
Tujhe Ummeed Gah Kahoon
Jaane Muraado Kaane
Tamanna Kahoon Tujhe
Gulzaar-e-Quds Ka Gul-e-Rangeen Adaa Kahoon
Darmaan-e-Dard-e-Bulbule-Shaydaa Kahoon Tujhe
Subhe Watan Pe Shaam-e-Ghareeban Ko Doon Sharaf
Bekas Nawaaz Gesu-On
Waalaa Kahoon Tujhe
Allah Re! Tere Jisme
Munawwar Ki Taabishen
Ay Jaan-e-Jaan Main
Jaane Tajalli Kahoon Tujhe!
Mujrim Hoon Apne Afwo
Ka Saamaan Karoon Shahaa,
Yaanee Shafee Rooz-e-Jazaa Ka Kahoon Tujhe!
Is Murdah Dil Ko
Murshda Hayaat-e-Abad Ka Doon
Taab-O-Tawaan-e-Jaan-e-Maseeha Kahoon Tujhe
Tere To Wasf Ayb-e-Tanaahee Se Hain Baree
Hayraan Hoon Mere
Shaah Main Kya Kya Kahoon Tujhe
K`Eh Legi Sab Kuch
Unke Sanaa Khwaan Ki Khaamashee
Chup Ho Rahaa He Keh
Ke Main Kya Kya Kahoon Tujhe
Lekin Raza Ne Khatm-e-Sukhan Oos Pe Kardiya
Khaaliq Ka Banda
Khalq Ka Aaqaa Kahoon Tujhe! |