|
Lutf Unkaa Aam
Ho Hi Jaayegaa
Lutf Unkaa Aam Ho Hi
Jaayegaa
Shaad Har Naa Kaam Ho
Hi Jaayegaa
Jaan De Do Wadah-E
Deedaar Par
Naqd Apnaa Daam Ho Hi
Jaayegaa
Yaad Rah Jaayegi Ye
Bebaakiyaa
Nafs Too To Raam Ho
Hi Jaayegaa
Be Nishaano Ka
Nishaan Mittaa Nahi
Mitte Mitte Naam Ho
Hi Jaayegaa
Saahilo Daaman Sakhi
Ka Thaam Lo
Kuch Na Kuch Inaam
Ho Hi Jaayegaa
Yaad-E Abroo Kar Ke
Tarpo Bulbulo
Tukre Tukre Daam Ho
Hi Jaayegaa
Mufliso Un Ki Galee
Mein Jaa Paro
Baagh-E Khuld Ikraam
Ho Hi Jaayegaa
Gham To Un Ko Bhool
Kar Liptahe Yoon
Jaise Apna Kaam Ho Hi
Jaayegaa
Ab To Laayee He
Shafaaat AAfwo Par
Barte Barte Aam Ho Hi
Jaayegaa
Ay Raza Har Kaam Ka
Ik Waqt He
Dil Ko Bhi Aaraam Ho
Hi Jaayegaa |