Home Contact Us

Naat By Sayyiduna A'la Hadrat Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaderi (Rahmatullahi Alaih)
mehfil-e-naats
Owais Raza Qadri Naats Owais Owais Naat
raza owais qadri

Subha Taybaa Mein Huwee Bat-Taa He Baara Noor Kaa

Subha Taybaa Mein Huwee Bat-Taa He Baara Noor Ka

Sadqa Lene Noor Ka Aaya He Taara Noor Ka

 

Baagh-E Taybaa Mein Suhaana Phool Phoola Noor Ka

Mast Boo He Bulbule Parti He Kalma Noor Ka

 

Baarahween Ke Chaand Ka Mujraa He Sajdah Noor Ka

Baarah Burjon Se Jhukaa Ik Ik Sitaara Noor Ka!

 

Aayee Bidat Chaayi Zulmat Rang Badlaa Noor Ka

Maahe Sunnat Mahr-E Talat Le Le Badla Noor Ka

 

Tere Hi Maathe Rahaa Ay Jaan Sahraa Noor Ka

Bakht Jaaga Noor Ka Chamkaa Sitaara Noor Ka

 

Mein Gadaa Tu Baadshah Bhar De Piyaala Noor Ka

Noor Din Duunaa Teraa Dedaal Sadqa Noor Ka

 

Taaj Waale Dekh Kar Tera Imaama Noor Ka

Sar Jhuka Te Hain Ilaahi Bol Baalaa Noor Ka

 

Shama Dil Mishkaat Tan Seenaa Zujaajah Noor Ka

Teri Soorat Ke Liye Aayah He Surah Noor Ka!

 

Too He Saayaa Noor Ka Har Uzw Tukra Noor Ka

Saaya Ka Saaya Na Hota He Na Saaya Noor Ka!

 

Teri Nasl-E Paak Mein He Bachcha Bachcha Noor Ka

Too He Ayn-e-Noor Tera Sab Gharaana Noor Ka!

 

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Unglee Uthaate Mahd Mein

Kyaa Hi Chaltaa Thaa Ishaare Par Khilawnaa Noor Ka

 

Ay Raza Ye Ahmed-E Noori Ka Fayz-E Noor He

Ho Gayee Meri Ghazal Bar Kar Qaseeda Noor Ka! 

 

holy quran
awais raza qadri muhammad awais raza qadri qadri awais
 
Copyright © www.alhajowaisrazaqadri.com 2008 All Rights Reserved