Home Contact Us

 

By Sayyiduna A'la Hadrat Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaderi (Rahmatullahi Alaih)
mehfil-e-naats
Owais Raza Qadri Naats Owais Owais Naat
raza owais qadri

Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad

 Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad 

Ke He Arsh-E-Haqq Zer-E-Paaye Muhammad

 

Makaan Arsh Unka Falak Farsh Inka

Malak Khaadmaan-E-Saraaye Muhammad

 

Khuda Ki Raza Chaahata Hain Do Aalam

Khuda Chaahata He Razaaye Muhammad

 

Ajab Kya Agar Raham Farmaaye Hum Par

Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad

 

Muhammad Baraaye Janaab-E-Ilaahi

Janaab-E-Ilaahi Baraaye Muhammad

 

Dam-e-Nazaa Jaari Ho Meri Zabaan Par

Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad

 

Mein Qurbaan Kya Pyaari Pyaari He Nisbat!

Yeh Aan Khuda Woh Khudaaye Muhammad

 

Khuda Unko Kis Pyaar Se Dekhta He

Joh Aankhein Hein Mah-We-Liqaaye Muhammad

 

Ijaabat Ka Sehra Inaayat Ka Jawra

Dulhan Ban Ke Niklee Duaaye Muhammad

 

Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzrehes

Ke He Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad 

holy quran
awais raza qadri muhammad awais raza qadri qadri awais
 
Copyright © www.alhajowaisrazaqadri.com 2008 All Rights Reserved