|
Ajab Rang Par
He Bahaare Madina
Ajab Rang Par He
Bahaar-E-Madina
Ke Sub Jannate He
Nisaar-E-Madina
Meri Khaak Ya Rabb Na
Barbaad Ho Jaaye
Passe Murg Kar De
Ghubaare Madina
Malaaik Lagaate He
Aankho Mein Apni
Shab-O-Roz Khaake
Mazaar-E-Madina
Rahe Unke Jalwe Bas
Unke Jalwe
Mera Dil Bane
Yaadeghaar Madina
Mera Dil Bulbul Be
Nawaa Di
Ilaahi Dikaa De
Bahaare Madina
Bana Asmaa Manzile
Ibn Maryam
Gaye Laa Makaan
Tajedaare Madina
Sharf Jin Se Haasil
Huwa Ambiya Ko
Wahi He Hassan
Iftikhaar-E-Madina |