|
Habeeb-E-Khuda
Ka Nazara Karoon Mein
Habeeb-E-Khuda Ka
Nazara Karoon Mein
Dilo Jaan Unpar
Nisaaraa Karoon Mein
Mujhe Apni Rehmat Se
To Apna Karle
Siwa Tere Sab Se
Kinaaraa Karoon Mein
Mein Kyoon Ghair Ki
Thokare Khane Jawoon
Tere Dar Se Apna
Guzaaraa Karon Mein
Khudara Ab Aawo Ke
Dam He Labo Par
Dame Wapasi To
Nazaara Karoon Mein
Tere Naam Par Sar Ko
Qurbaan Kar Ke
Tere Sar Se Sadqaa
Utaara Karoon Mein
Yeh Ek Jaan Kya Hai
Agar Ho Karoro
Tere Naam Par Sab Ko
Waaraa Karoon Mein
Tera Zikr Lab Par
Khuda Dil Ke Andar
Yunahi Zindagani
Guzaaraa Karoon Mein
Dame Wapasi Tak Tere
Geet Gaoon
Muhammad Muhammad
Phukaaraa Karoon Mein
Tere Dar Ke Hote
Kahan Jawoon Pyare
Kahan Apna Daaman
Pasaaraa Karoon Mein
Mera Deen-O-Imaan
Firishte Jo Pooche
Tumhari Hi Jaanib
Ishaaraa Karoon Mein
Khudaa Aisi Kuwat De
Mere Qalam Mein
Ke Bad-Mazhabon Ko
Sudhaaraa Karoon Mein
Khudaa Kher Se Laye
Woh Din Bhi Noori
Madine Ki Galiyan
Bohaaraa Karoon Mein |