|
Payaam Le Ke Jo
Aayi Sabaa Madine Se
Payaam Le Ke Jo Aayi
Sabaa Madine Se
Marize Ishq Ki Laayi
Dawaa Madine Se
Suno To Ghaur Se Aayi
Sadaa Madine Se
Qareen He
Rahmat-O-Fadhle Khuda Madine Se
Mille Hamaare Bhi Dil
Ko Jilaa Madine Se
Ke Mahr-O-Maah Ne
Paayi Zia Madine Se
Jo Aaya Le Ke Gayaa
Kaun Louta Khaali Haath
Bataade Koyi Sunaa Ho
Jo ?Laa? Madine Se
Woh Aagayaa Khuld Me
Jo Aa Gayaa Madine Me
Gayaa Wo Khuld Se Jo
Chal Diyaa Madine Se
Madina Chasma-E-Aabe
Hayaat He Yaaro
Chalo Hamesha Ki Le
Lo Baqaa Madine Se
Chale Jo Tayba Se
Muslim To Khuld Me Pohonche
Ke Seedhaa Khuld Ka
He Raasta Madine Se
Tumhaare Qadmo Pe Sar
Sadqe Jaan Fida Hojaye
Na Laaye Phir Mujhe
Mera Khuda Madine Se
Tere Habeeb Ka Pyaara
Chaman Kiya Barbaad
Ilaahi Nikle Ye Najdi
Balaa Madine Se
Tere Naseeb Ka Noori
Milega Tujh Ko Bhi
Le Aa?E Hissa Ye
Shaaho Gadaa Madine Se |