Kaabe Ke Dar Ke Saamne


Naat By Sayed Ale Rasool Sayyid Hasnain Nazmi Mian Sahib Qibla

Kaabe Ke Dar Ke Saamne, Maangi He Ye Dua Fakat
Haatho Mein Hashr Tak Rahe, Daamane Mustapha Fakat

Apne Karam Se-Ekhuda, Ishqe Rasool Kar Ataa
Aakhri Dam Labo Pe Ho, Salle Ala Sada Fakat

Taybah Se Ko Chale, Qadmo Unke Jaan De
Dafan Ho Unke Shehar Mein, He Yehi Iltija Fakat

Meraj Ka Sharaf Milla, Yoon To Har Ek Rasool Koh
Arsh Ke Aage Jaa Sake, Ahmed Mustapha Ka Fakat

Naza Ke Waqt Jab Mere, Sanso Mein Intishar Ho
Mere Nazar Ke Saamne, Gumbad Ho Woh Hara Fakat

Munkar Nakir Qabar Mein, Humse Sawaal Jab Kare
Aise Mein Wird Hum Rakhe, Aap Ke Naam Ka Fakat

Duniya Ki Sari Ne’Mate, Nazro Mein Meri Hej Ho
Rakhne Ko Sar Pe Gar Mile, Nalain-E Mustapha Fakat

Naate Rasoole Pak He, Nazmi Ka Maqs De Haya
Qabar Mein Bhi Labo Pe Ho, Sarkar Ki Sanaa Fakat