Uthado Parda Dikhado Chehra


shair

Naat By Sayyiduna A’la Hadrat Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaderi (Rahmatullahi Alaih)

Uthado Parda Dikhado Chehra
Ke Noore Bari Hijab Me He
Zamaana Taarikh Ho Rahaa He
Ke Mehr Kab Se Naqaab Me He

Unhiki Boo Ma Ya Saman He
Unhi Ka Jalwa Chaman Chaman He
Unhi Se Gulshan Mehak Rahe He
Unhi Ki Rangat Ghulab Me He

Khare He Munkar Nakir Sar Par
Na Koyee Haami Na Koyee Yaawar
Batado Aakar Mere Payambar
Ke Sakht Mushkil Jawab Me He

Khuda-e-Kahhar He Gazab Par
Khule He Badkaariyo Ke Daftar
Bachaalo Aakar Shafi-e-Mehshar
Tumhara Banda Azaab Me He

Kareem Aisa Mila Ke Jiske
Khule He Haath Aur Bhare Khazaane
Batao-e-Mufliso Ke Phir Kyoon
Tumhara Dil Iztaraab Mein He

Karim Apne Karam Ka Sadqa
Laim Beqadr Ko Na Sharma
Too Aur Raza Se Hisaab Lena
Raza Bhi Koyee Hisaab Me He